Blogging kya hai

Blog Blogging, Blogger aadi shabd bahut sunane ko milte hai. In shabdo ke upper newspaper, magazines aur internet per sekado article likhe ja chuke hai, aur likhe ja rahe hai. Kya aapne socha hai ye blog kya hota hai? Blogging kya hoti hai ?

Blog kya hai ?

Aaj se 20 sal pahle log diary patrika apne sujhav ya mahtavpurn bate likha karte the. Usko share karte the. Aaj ke aadhunik daur me internet per likhna yani blog likhna pasand karte hai. Use share karte hai. Usko Blog kaha jata hai. Blog kisi Vishay per likha jata hai. Blog google ka ek product hai jo website ki tarah kam karta hai. Yah google dwara di gai free service hai. Blog ke jariye aap apni bato ko puri duniya ke sath share ker sakte hai, blogger.com ek aise website hai jo free me banai ja sakti hai aur iska her koi aasani se istemal ker sakta hai. Her blog me kuchh lekh, kuchh photo, kuchh video bhi ho sakti hai. Hindi bhasha ke anusar blog ko “chiththa” kaha jata hai. Jo ki google ke shabdkosh me shamil hai.

Bloging vah karya hai jisme aap apne blog per lagatar post dalte hai. Jaise aapki koi website hai, ya blog hai aur aap uske uper lagatar post dalte hai, to iska matlab hai ki aap blogging ker rahe hai.

Blogging kyon kare?

  1. Apne gyan ko ek dusre se share karke yani blog me lekh likhkar hum paise bhi kama sakte hai.
  2. Internet per apni pahchan bane sakte hai.
  3. Blog ek aisa sadhan hai jahan hume nai-nai jankariyan milti hai.
  4. Blog ek aisi jagah hai jahan aap apni bato ko kam samay me hazaro logo tak pahuncha sakte hai.
  5. Blog kisi bhi bhasha me likh sakte hai.
  6. Blogging karke gyan badta hi hai n ki kam hota hai.

Blog ke prakar

Blog  panch prakar ke hai.

  1. Personal blogs
  2. Group blogs
  3. Microblogs
  4. Business blogs
  5. Aggregated blogs

Blogging shuru karne ke tarike

Muft me blog banana ke liye aapko in platform ki madad leni hogi.

  1. Blogger- yah ek mashhoor platform hai.
  2. WordPress – Iski sewa free bhi hai aur paise me bhi hai.
  3. Jumla- Iski shayata se internet per blog bana sakte
  4. Weebly- yah bhi achhi sewa hai. Yah ek web hosting sewa hai.

Apne Blog ke liye Vishay chune

Sabse pahle apne Vishay jane ki kis Vishay me aapki ruchi hai. Yani kis Vishay me aap achche se likh sakte hai. Vishay kuchh bhi ho sakta hai, jaise ki kisi ko khana banana ke bare me janana achcha lag sakta hai to kisi ko photography achcha lag sakta hai vahi kisi ko programming sikhna achcha lag sakta hai. Her vayakti ke ander koi bhi talent ho sakta hai, vahi talent aapko janana hai. Aap blogging ke liye usi Vishay ko chune jisme aapka sabse jyada man lagta ho tabhi aap apne blog ke liye lagatar lekh likh sakte hai.

Blog ke liye domain name chune

Blog banana ke liye ab aapko ek domain name chunana hoga. Domain kisi bhi website ka address hota hai. Domain name aapke blog ya website ka name hota hai. Usi tarah her blog ke liye ek domain name ka hona jaruri hai kyonki internet user usi ko search ya phir type ker aap blog per visit karte hai.

Bahut sari company hai jo domain bechti hai jahan se aap apne blog ke liye domain name kharid sakte hai. Domain bechne wali sabse badi company me Godaddy, Bigroch aur Namecheap hai aur name hi nahi balki inki service bhi bahut achhi hai. Aap in teeno me se kisi se bhi apne blog ke liye domain kharid sakte hai.

Blog ke liye hosting chune

Blogging shuru karte samay sabse mahtavpurn karya hai hosting lena. Yahi ek point hai jisme blogger sabse jyada preshan hote hai. Kyonki naye blogger ye faisla nahi ker pate ki unki website ke liye kaun si hosting ya hosting plan sahi hai. Aur vo ye bhi decision nahi ker pate ki kis website se hosting li jaye.

Yahan agar aapki website per traffic kam hai to aapko hosting ke liye paise bhi kam hi dene chahiye ya hosting bhi kisi bharosemand website se hi kharidani chahiye. Ye teen bharosemand website hosting ke liye sahi hai.

  1. Hostgator
  2. A2 Hosting
  3. Site Ground
  4. Godaddy
  5. Bigrock

By Manish

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *