Aaj YouTube par bahut se log apne videos banakar upload karte hain. Aap sabhi jante hi honge ki Youtube platform kitna bada platform hai. YouTube duniya ka sabse bada manoranjan platform ban gaya hai. Jis par aapko har tarah ke videos dekhne ko mil jate hai. Aapko kisi bhi prakar ki jankari chahiye hoti hai to vah Youtube parĀ prapt ho jati hai.
Bahut se logo ke YouTube channel par achche views aate hai aur kuchch YouTube Channel par kam views aate hai iske bhi bahut se karan hote hai. Jis vajah se aapki YouTube Channel par achche videos hone ke bad bhi views nahin aate hai. Youtube channel ko Promote kaise karte hain yah nahin jante hai. Aap jab tak apne video ko sahi tarah se optimize nahin karenge tab tak aapke YouTube Channel par views nahin badenge. YouTube Channel banana to aasan hai lekin is par views badana utna hi kathin hai.
YouTube Video Ko Promote Kaise Kare
Apne YouTube video ko promote karne ke liye kuchch steps ko follow karna padega.
Optimize Your Channel
YouTube Channel ko optimize karke ek branding channel banana hoga tabhi agar kisi ki nazar ek bar aapke channel me chale jayega to vo aapke channel ko nahin bhul payega. Aaj kal to kisi bhi cheej ko log uske look se hi pahchante hain. Isliye aapko sabse pahle apne channel ko optimize karna chahiye.
Channel ko sahi se optimize karne ke liye usme puri description likhen. Apna custom logo add kijiye aur apne custom background banner add kijiye. Jab aap in process ko complete kar log to aapke channel ka design better ho jayega.
Social Media me share Karen
Aaj har vyakti Social media ka proyog karta hai isase aap famous bhi ho sakte hai. Aap apne video ko social media par share bhi kar sakte hai jaise Facebook, Whatsapp, Instagram, Twitter yah sabhi bahut hi famous platform hai. In per logon ke sath apne videos ko share kare. Agar unhe aapka video pasand aata hai to vo aur logon ko aapka video share karenge aur aapka video viral ho jayega.
Comment ka reply awashay Karen
Apne viewers ke comment ko kabhi undekha na Karen. Apne viewers ke comment ko padhe aur agar unka aapse koi swal hai to unhen reply jarur kare. Kai bar aisa bhi hota hai ki viewers kuchch aise sawal puchch lete hai jiska jawab aapko nahin aata ho to apne dost se uska jawab puchche ya Google ki madad bhi le sakte hai aur agar phir bhi aapko jwab nahin mil raha hai to aap unhen sorry bolkar reply kar de.
Promote Channel via Email Building
Yah ek bahut popular aur behtar tarika hai channel ko bahut jaldi promote karne ke liye. Jab aap naye video ko channel me upload karoge to usko optimize karne ke bad us video ko email dwara promote kar sakte ho. Isase aapko better result milega.
Lekit iske liye aapko email list ki jarurut hogi. Jab aapke pas kam se kam 500 emails ki jarurat hogi. Isko aap kisi se le sakte ho ya aap kharid bhi sakte ho sabse better hoga ki aap Google me search karke hazaron email list le sakte ho.
Apne YouTube channel ke liye Blog banaye
Aap apne YouTube Channel ke liye yadi Blog bana lete hai to yah bahut hi badiya hoga. Isase aap Blog par video share karke unka promotion bhi kar sakte hai aur Blog par Google Adsense ke Add lagakar usase bhi Earning kar sakte hai.
Achcha Tag chune
Yadi aap keywords par focus kiye bina Tags Select kar lete hai to isase aapko koi fayada nahin milega isliye Tags ke liye achche Keywords chune. Keywords aapke video se sambandhit hona chahiye nahin to aapke account par YouTube Community Strike lag jayega. Tags ko jyada nab hare sirf un Tags ko lagaye jo aapke Topic se sambandhit ho.
Video File ka name badlen
Video banana ke bad use rename jarur kare. Rename me aapko usi keyword ko enter karna hai jis par aapka video banaya gaya hai. Rename karne ke bad hi aapke video ko upload kare. Bahut se YouTuber video banana ke bad Video file ka naam nahin badalte hain. Video rename karne ke liye sirf video ke naam ko edit karna hota hai.
Smart vivran likhen
Video ko promote karne ke liye vivran sabse jaruri hota hai. YouTube video vivran likhne ke liye 5000 varn milte hain. Jisme se 157 varn Search Snippet ke liye Search Engine ke dwara chayan kiye gaye hote hain. To jab aap video publish karte hai to usmen topic se sambandhit vivran hi likhen aur usmen jyada se jyada keywords ka istemal kare.
Contest
Aap contest ki madad se bhi YouTube video aur channel ko popular bana sakte hain. Iske liye koi bhi ek uphar rakhen aur phir usme aap ye likhen ki lucky subscriber ko hi yah uphar jeetne ka mauka milega. Is poster ko social media par faila dijiye taki iske bare me sabko pata chal sake. Jab bahut sare subscriber aapke channel se subscriber kar lenge to phir kisi ek lucky winner ko prize de dijiye.
Vigyapan dwara YouTube Channel ko promote Karen
Ye ek bahut hi achcha tarika hai lekin isme aapko thode paise kharch karne hoge. Isme agar chahe to thoda paisa kharch karke apne YouTube channel ko promote kar sakte hai. Isme aapko bahut hi kam samay me bahut hi achcha result mil jayega.