Youtube ek aisa platform hai jahan per video upload karke aap name, pahchan aur paisa teeno hasil kar sakte hai, lekin YouTube ke liye video kaise banaye yah ek jimmedari ka aur mehnat ka kam hai is kam ke liye aapke video content me bhi dum hona chahiye tabhi log aapke video ko pasand karenge. Ek bat jarur notice kiya hoga ki jitney bhi bade YouTube channel hai sabhi high quality video banate hai aur unka video bhi puri jankari ke sath hota hai. Agar unke video me koi khas bat nahin hoti to aaj vo itne bade channel hi nahin ban pate. Isliye jaruri hai ki aap job hi YouTube video banaye vo professional hona chahiye. Is article me YouTube video kaise banaye? Video banana ki puri jankari di gai hai.
Professional video banana utna aasan nahin hota jitna sochne me lagta hai iske liye kafi mehnat karni padti hai. Bahut se log apne mobile se hi video record karte hai agar aapka mobile camera kam pixel ka hoga to yah kisi bade screen per saph dikhai nahin dega jo ki bilkul bhi professional video nahin lagega. Ek video record karne ke liye hume bahut si baten dhyan me rakhni padti hai aap kisi bhi video ko bina kisi taiyari ke record nahin kar sakte hai.
YouTube video kaise banaye?
Neeche bataye tips ki madad se aap professional video record ker sakte ho, iske liye aapko achche bajat ki bhi jarurat pad sakti hai, agar aapke pas paise nahi hai to aap sadharan video bhi bana sakte ho.
Video topic research Karen
Sabse pahle to aapko yah niryan lena hai ki aap kis Vishay per vidieo banana chahte hai. Jab aap yah samajh jate ho ki aap kis topic per video banana me jyada ichchuk ho uske bad aapko thoda research karna hai. Research karne ke liye YouTube per us topic ko search kare aur dekhe kitne log us topic per pahle hi video bana chuke hai. Agar pahle se hi us per 100 se jyada log video bana chuke hai to us topic per kam na kare.
Video Script likhen.
Video topic ka niryan lene ke bad aapko ab video script ki taiyari karni chahiye. Script ka matlab video me aap kya batana chahte ho uske liye ek achcha script likhna hai. Script per hi aapka pura content nirbhar karta hai agar script achcha nahin hoga to log aapke video ko pasand nahin karenge. Agar aapkko script likhne ke liye koi idea nahi aa raha ho to aap kisi script writer ko kam per rakh sakte ho.
Video location chune.
Ab samay aata hai ki aap us jagah ko chune jahan aapko lagta hai ki video shoot honi chahiye. Video shoot aap ghar ke ander ya phir ghar ke bahar bhi kar sakte hai. Agar aap koi computer, mobile aadi ke liye tutorial video bana rahe hai to ghar ke ander hi aise video banaye ja sakte hai. Agar koi public reaction, prank, social experiment aadi jaise video bana rahe hai to ise sirf ghar ke bahar hi shoot kiya ja sakta hai. Ghar ke bahar shoot karne se pahle us jagah me rahne vale logo ko koi dikkat n ho iska bhi dhyan rakhna hai.
Achche camera ka proyog Karen
Video quality per bhi kafi dhyan dene ki jarurat hai kyonki log aajkal HD quality me video dekhna adhik pasand karte hai. Agar aapke pas DSLR camera hai to iska upyog aap kar sakte ho agar nahin hai to ise market se kharid sakte ho. DSLR camera ka rate Rs.25,000 se shuru hota hai aur yah lakhon tak bhi ja sakta hai nirbhar is bat per karta hai ki lens quality aur pixel kitne saf hai. Iske alawa agar aapke pas smartphone hai to isase bhi video record ker sakte ho lekin megapixel kam se kam 12 hona chahiye aur camera HD recording bhi support karta ho. Market me Iphone aur Google Pixel smartphone sabse best quality camera smartphone mane jate hai.
Trypod ka sahara le :
Video record karte samay bahut bar camera ka disha badal jata hai jis vajah se video thik se record nahin ho pata. Iske liye aap tripod ki madad le sakte hai jo ek stand ki tarah kam karta hai. Mini tripod ka dam lagbhag Rs.300 hai aur jyada unchi hight vale tripod Rs.800 se shuru hote hai.
Microphone ki madad le :
Video record karte samay aaspas ki aawaj bhi video me aa jati hai jo sunane me bilkul bhi achcha nahin lagta. Agar aap ghar ke bahar koi video shoot karte ho tab to aur bhi jyada dikkat hoti hai aur aawaj thik se record bhi nahin ho pati. Har koi saf aawaj me hi video dekhna pasand karta hai isliye ek microphone ki madad lena jaruri hai. Microphone aapke video me aaspas ki aawaj record nahin hone deta aur kafi saph aawaj bhi hoti hai. Online aap apne bajat ke hisab se microphone kharid sakte ho.
Makeup ka dhyan rakhe.
Jab aap koi short film shoot kar rahe ho to is bat ka dhyan rakhna chahiye ki sabhi actor ka makeup unke character se mail khata ho. Bina makeup agar aap koi video shoot karte ho to vah professional nahin mana jayega kyonki HD camera me sab kuchch saf dikhta hai isliye aapko makeup ka khyal rakhna hai. Bina makeup agar aap video shoot karte ho to darshak us video se khud ko connect nahin kar payenge.
Video edit kare :
Ab samay aata hai apne video ko edit karke jyada aakarshit banaya jaye. Video edit karne ke liye aapko internet per bahut se software mil jayenge jaise ki Adobe Premiere, Final Cut Pro, Sony Vegas Pro, Camtasia Studio aadi. Inki madad se aasani se kisi bhi video ko professional tarike se edit kiya ja sakta hai inke dam Rs.18,000 se 1 lakh tak hote hai. Agar aapke pas bajat nahin hai to shuru me inka trial version istemal kar sakte ho jisme kam feature hote hai. Agar aapko nahin maloom in software ko kaise proyog karna hai to inke tutorial YouTube per aasani se mil jayenge. Apne video me se bekar ke dialog aur scene ko edit karke delete kar de iske alawa aap extra effect bhi laga sakte ho. Video ka size 16.9 rakhe log aajkal isi size per video dekhna pasand karte hai.
Nishkarsh
Ek video banana ke liye kitni mehanat aur paise kharch karne hote hai. Agar koi apna channel kisi professional ki tarah banana chahte hai to unhe is post me bataye gaye tips ko jarur follow karna chahiye. Jab aap professional tarike se video banate ho log aapki video pasand karte hai aur aapke subscriber bhi teji se badte hai. Professional video ko youtube algorithm bhi pasand karte hai jis vajah se aapki video bahut logon tak pahunchati hai aur vigyapan ki madad se kamai bhi achchi hoti hai.