Mobile phone ke side effects

Pichchle ek dashak me mobile hamari jindagi ka abhinn ang ban chukka hai, aaj mobile ke bina apni jindagi ki kalpana karna bhi mushkil ho gaya hai. Mobile phone ne hamare parivarik aur samajik sampark ko badakar, bhavanaon ko abhivyakt karna sahaj bana diya hai. Parantu jahan vertman atyaadhunik jeevanshaili me mobile phone ka ek mahatavpurn sthan rakhta hai aur vahiĀ  Mobile phone ke side effects bhi laya hai.

Mobile phone ke badte upyog ko dekhte huye aaj hum kah sakte hai ki mobile phone me hamari is asli duniya se door ek virtual duniya ban gai hai. Parntu ab vidambana yah hai ki hum is abhasi duniya me itne kho gaye hai ki asali duniya se door hote ja rahe hain. Jahan mobile phone anuchit upyog ka ek mahatavpurn karan hai, vahin Mobile phone ke side effects bhi badte ja rahe hain, aur isase swasthya per bhi anek dushprabhav padte hai jinhe janana aur jinse bachav karna hamare liye atyant mahtavpurn hai.

Mobile phone se swasthya per dushprabhav

  1. Khojbeen me paya gaya hai ki mobile phone aur sell tower ka aajkal atyadhik upyog ho raha hai. Yah sell tower aur mobile phone hamare swasthya ke liye ek bada khatra hai. Sell tower aur mobile phone se electromagnetic radiation utaserjit hoti hai. Yah radiation hamare chehre tatha dimag ke ek hisse ko dhire dhire prabhavit karti hai aur iska atyadhik upyog hanikarak sidhdh ho sakta hai.
  2. Kano me ting ting ki dhwaniyon ka bajna un pahle sanketon me se ek ho sakta hai ki sellphone hamare swasthya ko prabhavit karna shuru kar raha hai ek apratyashit kan ka dard ya santulan ko banaye rakhne me kathinai aadi anya sanket hai ki hum vidhut chumbkiya svendanshilta ka samna kar rahe hai.
  3. Neurological samasyayen bhi Anaya bimariyon ke roop me samne aati hai jisase unke mool karan ka pata lagana mushkil ho sakta hai. Parantu achanak bina karan chakker aana, jee michlana, bin mausam bimar hona aadi yah vidhut chumbkiya tarango se tantrika tantra ke kamjor hone ke lakshan ho sakte hai.
  4. Kuchch mamlon me raktchap ki badotari vyakti me stroke ya dil ke daure ko trigger karne ke liye pryapt ho sakti hai. Dhadkan ki dar me achanak badlav, aksmat chchati ke dard ka anubhav, sans ki kami aur asthir raktchap, shareer per cell phone upyog ki partikool partikriya ka sanket hain.
  5. Aankhon me kirkirapan aur dard, aankhon ka fadkana vidhut chumbakiya vikiran ka nateeja ho sakte hain.
  6. vidhut chumbakiya vikiran ke karan manspeshiyon me kamjori aur aithen, sath hi jodo me dard, pairon me eithan aur hathon me kampan bhi utpann ho sakti hai. Mutra path me gadbadi, adhik mutra paseena aadi vidhut chumbakiya vikiran ki sanvedanshilta ka parinam ho sakti hai.
  7. vidhut chumbakiya vikiran ki sanvedanshilta hamare khane ki pasand me badlav aadi ka karan ban sakti hai. Kuchch khadya padarth jo pahle swadist lagte the cell phone radiation ke karan ab pet ko pareshan kar sakte ya ellergy pritikriyaon ka karan ho sakte hai. Cell phone ke upyog se motape ki bimari bhi hone ki sambhavanayen hai.
  8. Microwave radiation ke karan manav koshikaon per asar dekha gaya hai. Koshikaon ki pratirodhak kshamta kam hone ke karan shareer me hriday rog, cancer, airthrites jaise rogo ke panpane ki sambhavana rahti hai.
  9. Aksar log rat ko mobile phone ko takiye ke neeche vibration mod per rakhkar so jate hai. Parantu yah hamare swasthya ke liye ek bada khatra ho sakta hai. Isliye mobile ko takiye ke pas rakhne se mobile ke signal ke liye aati electromagnetic tarnge deemag ki koshikaon ki vridhi ko prabhavit karti hai.
  10. Mobile phone jahan hame apno ke sampark me late hai, vahin sath late hain sankramak rog. Sarvekshan adhyyan batate hai ki aam bimariyon jaise sardi jukam, khansi aadi roganu kafi adhik sankhya me cellphone per maujood rahte hai aur ye rog sampark me aane per aasani se phailte hai.
  11. Mobile phone aur social media ne hamaaree gopaneeyata par bhee bhaaree prahaar kiya hai. aaj kisee ke baare mein bhee nijee se nijee baat jaanana itana kathin nahin raha hai. Log social media akaunt mein bahut se niyam lagaate hain, phir bhee kaee baar unake nijee jeevan kee baaten anajaan logon tak pahunch jaatee hain. kaee log isaka laabh uthaakar doosaron kee gopaneey baaton ka anaitik dhang se prayog karate hain. Is sthiti ne bhee ek dar aur tanaav ka maahaul utpann kar diya hai. Isase svaasthy par bura prabhaav padata hai.
  12. Kai log yaatra karate hue ya raaste mein chalate hue bhee phon par baat karate rahate hain. kaee log to vahaan chalate hue maisej aur soshal meediya bhee chalaate hain. Isase dhyaan mukhy kaary arthaat draiving se vichalit hota rahata hai. dhyaan kendrit na hone ke kaaran aksar durghatana ka saamana karana padata hai. ek adhyayan ke anusaar, sadak durghatana ke 10 mein se 6 ka kaaran mobail phon hai.
  13. Pratidin naye-naye mobail khel ka vikaas ho raha hai. Yah khel itane ruchikar hote hote hain ki bachchon ko inakee lat lag jaatee hai. ve sote-jaagate yahee khel khelate rahate hain. Isase unakee dinacharya bhee bigad jaatee hai jo svaasthy ke liye haanikaarak siddh hotee hai. Itana hee nahin kaee khel jaise- pokemon go, bloo vhel aadi ke kaaran bachche aur bade, sadak durghatana aur aatmahatya aadi ka shikaar ho rahe hain.

Mobail phon kee lat kee yah beemaaree itanee aam aur itanee sahaj ho gaee hai ki hamen yah gyaat bhee nahin hota ki ham isase grasit hain. is beemaaree ke lakshan itane saamaany hain ki inaka pata chalana mushkil hai.

By Manish

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *