Technology

Aaj hum 21vi shatabadi me jee rahe hain. Aaj ke samay me technology ka istemal badata jar aha hai. Aaj her koi technology par nirbhar ho gaya hai. Ghar par rozana istemal kiye jane vale upkaran bhi technology ka hissa hai. T.V, freez, mobile, washing machine, microvever, computer, pankha, bijali supply ityadi. In sabhi upkarano ne humari jindagi kafi  aasan kar di hai. Hum garmi ke mausam me kamare ko thanda karne ke liye air conditioner ka upyog karte hain aur sardi ke mausam me kamare ko garam karne ke liye heater ka istemal karte hai. Ye bhi ek technology hi hai. Ghar par parivar ke sath baith kar T.V dekhne ka ananad bahut sukhdai hota hai. Jaise ki maine bataya ki aaj ka insane technology par itna nirbhar ho gaya hai ki use her vakt technology ke sath hi rahna pasand hai. Usne parivar ko bhi vibhajeet kar diya hai. Technology ke jahan par itne sare labh hai vahan par bahut sare haniyan bhi hai. Technology ke fayde aur nuksan ko dekhte huye hi technology ka upyog karna chahiye. Technology ke fayde aur nuksan is prakar se hai.

Ghar baithe ticket booking

Aajkal aadhunik yug me technology ne humare jeevan ko bahut saral bana diya hai. Ab to ghar baithe train, plane bus aur hotel ka ticket kharid sakte hai. Iske alawa ab anek app se train aur hawai jahaj ki sthiti ki jankari bhi pa sakte hai.

Ghar baithe shiksha

Aajkal chchatra vibhinn prakar ke course online hi kar sakte hai. Is tarah ghar baithe shiksha pana sambhav hua hai. Aaj anek website, youtuve par log padane ka kam online ke madhayam se karte hai. Yuva chchatra ghar baithe bade-bade professor aur technician ke you tube aur website se video dekhkar padai kar sakte hain. Aajkal korona kal me bachche online padai kar rahe hai.

Free calling aur free video ki suvidha

Ab Jio, Vodaphone, Idea jaise company kam shulk me achchi aur free video aur calling ki suvidha de rahi hai. Jiske karan hum apne dosto, rishtedaron se unlimited matra me bat kar sakte hain. Pahle ye sambhav nahin tha, kyonki phone sewayen bahut adhik mahangi thi.

Ghar ka kam hua aasan

Oven, mixer grinder, Fridge, induction chulha jaise upkaran ne rasoi ka kam saral bana diya hai. Aaj ki grihani washing machine se kapde dhoti hai. Is tarah uski mehnat bachati hai. In sabhi takniki upkarano se samay aur dhan dono ki bachat hone lagi aur humara karya aasan ho gaya hai.

Ghar ghar me roshani

Ab LED taknik vale  bulb bazaar me aa gaye hai. Jo bahut kam bijali lekar adhik roshni dete hai. Is tarah bijali ki bachat hoti hai. Aur desh ke gaon-gaon me bijali ja rahi hai. Logo ke bijali ke kharch me bachat hui hai. Saur urja technique ka istemal har gaon aur shahar ke log kar rahe hai. Saur urja technique behad sasti aur kifayati hai.

Ghar baithe paise kamane

Aaj technology se paise bhi kama sakte hai. Aaj internet ke jariye paise kamane aasan hai. Internet se kam mehnat se lakhon rupaye kamaye jate hain. Aap ghar me  blog, youtube se paise kama sakte hai. Aap you tube par video bana kar aur blog par article likhkar lakhon kama sakte hain.

Technique ke kuchch nuksan

Smartphone ki lat

Aaj chchote-chchote bachchon ko smartphone ki lat lag gai hai. Smartphone me chalne vale game jaise ki pubg, subway suffers, candycrush aur anya game hi khelte rahte hain. Jis vajag se unki sharirik samsya bad gayi hai aur aankhon ki roshani bhi kam hoti ja rahi hai.

Paisa Chori

Aaj internet se bank se paise ki chori bhi ki ja sakti hai. Hakkers bank ke account number ko track karke bank se sara paisa nikal lete hai. Isliye bank ka pincode aur otp kisi ko na bataye. Is tarah technology ne humari samasya bada di hai.

Padai ka nuksan

Aaj technology itni bad gai hai ki vidyarathi padne ki jagah mobile, computer aur laptop par hi lage rahte hai. Jis vajah se unke padai me ank kam hote ja rahe hain. Jahan par padne ke itne tarike hai vahan par kai nuksan bhi hai. Bachche ghar ke kamo aur jimmedari se bhi bachne lage hai.

Berojgari ki samasya

Technique ka vikas hone ke karan vibhinn kshetro me karamchariyon ki sankhyan kam hone lagi hain. Jisase berojgari ki samasya badne lagi hai.

Radiation kirno se khatra

Vibhinn prakar ke doorsanchar companiyon ke tower lagne se radiation jaise khatarnak kirne niklne se cancer jaisi bimari badne ka karan hai. Isase pashu pakshiyon prabhavit ho rahe hain. Jiske karan pashu pakshi bhi vilupt hote ja rahe hain.

Social networking site ka galat istemal

Aaj kal kuchch ladke ladkiyan social media ka galat istemal kar rahe hai. Jis vajah se samaj me gundagardi, ghamand, dushkarma aur blackmail kafi bad gaye hai. Kuchch log to kisi ka bhi photo/video bana kar social networking site par dal dete hain. Jis karan us vyakti ki badnami shuru ho jati hai. Jo ki galat bat hai. Social networking ka sahi istemal kiya jaye to hum social media se kafi kuchch sikh sakte hain.

Nishkarsh

Aaj ke lekh me humne aapko technology ke anek fayde aur nuksan bateye hai. Hume iska istemal soch samajhkar manav kalian ke liye karna chahiye.

By Manish

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *