Online Paise Kaise Kamaye

Her koi chahta hai ki vo jyada se jyada paise kamaye. Iske liye hazaro log  Google per rozana search karte hai ki Online Paise kaise kamaye, paise kamane ke tarike, internet se paise kaise kamaye aadi. Logo ko paisa apni jaruruto ko pura ker sake aur apne shauk pure ker sake, isliye vo ghar baithe paise kaise kamaye ke bare me sochte hai.

Aise bahut se log hai jo alag alag kam karke paisa kamate hai koi job karta hai to kisi ka khud ka business hota hai, to agar aap ye dono hi nahi karna chahte hai aur aap ye chahte hai ki ghar baithe paise kaise kamaye to aapke liye online paise kaise kamaye ka yah lekh jankari bhara hoga. Sabse achchi bat yah hai ki yah kisi age group ke liye simit nahi hai, 40 sal ki house wife, 15 sal ka school ka bachcha ya koi retired person kisi bhi viklap ko chun sakte hai. Iske liye jarurat hai ki aapke pas koi n koi telent ho koi n koi kala ka hona jaruri hai, agar aapke ander koi kala hai to aap asani se job bhi kam batayenge unme se kuchch n kuchch aap ker hi sakte hai.

You tube

You tube ko sabhi jante hai, duniya ka sabse jyada search engine kahlata hai . her roz lakho log online video dekhte hai agar aapke pas koi idea ho ya apke pass koi talent h jaise singing,dancing ,khana bnane ki vidhi aadi ise youtube pr apna channel bnakr share kre.isse log apke talent ko pehchanenge aur aap paise bhi kmayenge.kintu savdhaani yeh rakhe ki video apki apni ho,kisi ki nakan na kre.

Fiverr

Fiverr bhi ek jabardust online paise kamane ki ek bahut purani website hai. Is per log kafi achchha paisa kamate hai. Fiverr me pahle aapko apna account banana hai jo ki free hai. Fiverr me aise bahut log aate hai, jinko apna kam karwana hota hai. Isme sabse pahle aapki jankari kisi bhi kshetra me achche dhang se honi chaiye. Jaise technology kshetra, designing kshetra ityadi. Aap apni services ko fiverr.com per bech sakte hai. Shuru me thoda kam paisa milega, parantu dhire-dhire clint ki sankhya badne per aamdani me badotari hogi.

Data Entry

Desh me kai tarah ki data entry ka kam hai. Agar aapko typing ki jankari hai to internet me search karke data entry ka kam ker sakte hai. Iske liye freelancer.com aur simply hired se madad li ja sakti hai.

Online tuition se  paise kamaye

Aajkal log jyadatar online course lena pasand karte hai, ye ek aisa jariya hai. Jahan log paisa kharch karke apna manpasand course seekh sakte hai. Internet me bahut sare website mil jayenge jahan per online course lete hai. Yahan per aap jis bhi Vishay me jankari hai, usko share karke register ker sakte hai. Pure course ki video aur document ke jariye upload ker sakte hai. Phir aapko us course ki fees set karni padegi. Jo bhi aapka course lena chahega, internet ke jariye job hi platform hai vahan use pad payega aur vah platform kuch commission rakhkar aapko payment dega.

Blogging se paise kamaye

Blogging ke jariye paise kamaye ja sakte hai. Blogging karne ke liye do bato me mahir hona jaruri hai ek to aapki likhne ki kala achchi honi chaiye aur dusra aapka kisi bhi ek topic me expert hona jaruri hai.

Agar aapke pas ye dono hi nahi hai to aap ye nahi ker sakte ho agar aap blogging ka business shuru karna chahte ho to aapko pahle aap apne ander ye skills leker aana hoga. Agar aap kisi aur website ke liye blog likhte hai aur agar aapka blog lokpriya ho jata hai to bahut si company aapke blog per apna prachar karne aati hai aur agar aapke blog per aap kisi company ka prachar karte hai to aapko achcha paisa mil sakta hai.

Online saman bech ker paise kamaye

Online marketplace bina jyada mehnat kiye paise kamane ke sabse asan tariko me se ek hai. Aapko kewal achche marketing skills ki, achche images lene ki aur apni saman ko bechne ke liye online dalne ki jarurat hoti hai. Aap alag alag websites (Amazon, flipkart) per jaker apne saman ko bech sakte hai aur agar koi aapke saman ko kharidata hai us website ke link se to us per aapko commission bhi prapt hota hai.

Sell photo online

Agar aap ek photographer hai ya phir photo ka shauk rakhte hai to bhi aap online sell ker sakte hai. Yakin maniye dosto agar aapki chitrakari kisi website ko bahut jyada pasand aa gai to aap soch bhi nahi sakte hai ki aap kitne aage bad sakte hai.

By Manish

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *