Website Se Paise Kaise Kamaye

Website se paisa kamana bahut aasan hai. Aap apni website dwara mahine me lakho rupya aasani se bana sakte hai. Lekin ek bat ka dhyan rakhe. Kai aisi websight aur vigyapan company hai jo ghanto me aapke liye dher sara paisa bana deti hai lekin jab aap un paiso ko nikalane jayenge, to aapka account suspend ho gaya hai dikhana shuru kar dega aur ve paise transfer bhi nahi karenge. Yahan kuchch basic tariko ke bare me batayenge – Website se paise kaise kamaye. Ye tarike thoda samay to lete hai lekin karya avashay karte hai. Inme se kai ko shuru karne ke liye kuchch paise nivesh karne ki jarurat hoti hai.

Kuchch aapne website per vigyapan dekhe honge jo website per apne aap aate rahte hai, ye digital vigyapan hai aur yahi aapko paisa kamane me madad karte hai. Asal me yah vigyapan kisi vigyapandata dwara chalaye gaye prachar hote hai jaisa hum T.V per dekhte hai. Yah vigyapan un Television vigyapano se saste hote hai, aur yah pure internet per prakashit ho sakte hai. Google abhi tak ka sabse bada pracharak hai. Jab yah vigyapan aapki websight per prakashit hote hai to vigyapan pracharak company aapko income ka kuchch hissa protsahan rashi ke roop me deti hai jise online money bol sakte hai.

Websight se Paisa kamane ke madhyam

Kuchch aise madhyam hai jo aapko paisa kamane me madad ker sakte hai.

Google Adsense

Google Adsense vertman samay ka sabse achcha aur bharosemand vigyapan hai kyonki yah aapko sabse achchi suraksha aur commission deta hai. Google adsense ke madhyam se kamane ke liye sabse pahle aapko ed adsense account banana hoga. Uske baad Google aapki website ki yogyata janne ke liye kuchch din leta hai, jiske bad aapko ed manjuri email aata hai phir aapki website per vigyapan udit hone lagte hai. Adsense aapko her 1000 website visitors per ek rashi aapki adsense khate me dal deta hai jise aap 100 $ pura hone per apne niji khate me mangwa sakte hai.

Amazon Affiliate Marketing

Amazon Affiliate Marketing ek tarah ka aayog yani commission adharit karya hai, jiske liye aapko Amazon Affiliate me ek khata kholna hota hai, jiske bad aap Amazon ke kisi bhi utpad ko aapne website per link kar sakte hai. Jab koi vayakti aapki website se us link vigyapan per click karke us utpad ko kharidta hai to us utpad ke mulya ki do se dus pritishat rakam aapke affiliate khate me aa jayegi jise aap ek hazar rupay hone per cheque ya direct account transfer dwara nikal sakte hai.

Vigi links

Vigi links bhi amazon ki tarah he aayog yani commission adharit karya karta hai, prantu yahan aapko bahut sare alag alag brands kea alag alag offers milte hai jaise ki koi brand aapko apne utpad ki bikri per utpad ke mulya ka dus pratishat dega to koi dusra brand aapko 20% commission deta hai. Aapko iske liye bhi vigilinks.com per ek account creat karna hoga aur yah 48 ghante leta hai. Jiske bad aapko ek manjoori email aata hai. Aap aapne ayog rashi ko ek hazzar rupay hone per cheque ya direct account transfer dwara nikal sakte hai.Jiski prakriya me ek hafta lagta hai uski rashi aapke nizi khate me apne aap aa jati hai.

Info links

Info links me aapko ek account banana hoga infolinks.com per sath hi aapko ek mail bhi infolinks ko karna padega jisme aapki website ki information sammilit hogi jaise ki aapki website ka Vishay kya hai aapki website per roz kitne visitors aate hai. Iske bad aapko 1 hafta se lekar ek mahine tak pritiksha karni padegi. Info links account manjoori ke bad aapki website ki likhit shabdo per aapko link dikhenge jab koi un shabdo per click karega to ek alag website per land karwa dega. Info links khud se shabd apni suvidha anusar alag alag chun sakte hai jiske liye info links aapko her ek hazzar visitors per kuchch rashi aapki infolinks khate me dal deta hai jisse aap 20 Americi dollar hone per peypal ke dwara nikal sakte hai.

Sewaye pradan karke

Aap chahe to aap apni sewa sajha karke bhi paisa kama sakte hai jaise ki aap apni khinchi hui picture bech sakte hai ya aur koi bhi karya jisme aap nipuna ho.

Hostgator Affiliate Marketing

Hostgator Affiliate Marketing un logo ke liye hai jinki website technology based ho jaise ki aap website per naye technical gadget ke bare me batate hai, jaise software, mobile computers, video games, digital services ityadi to aap hostgator affiliate marketing per paisa kama sakte hai. Yah ek website hosting service provider company hai jo upbhoktaon ko alag alag tarah ka website host karne ka domain naming sell karne ka vyapar karti hai. Jab aap Hostgator Affiliate Marketing join karte hai to yah company aapki  website ke madhyam se apna utpad sell karti hai, jiske liye koi rakam nirdharit nahi hai aap jab chahe paisa nikal sakte hai. Agar aap technical content likhte hai to Hostgator Affiliate Marketing aapke liye kafi faydemand sabit hogi.

To yah kuchch tarike hai jahan per aap apne website ki madad se paisa kama sakte hai. Is lekh me jo paise kamane ke madhyam likhe hai vah kuchch uchch shreni ki vigyapan pracharak hai. Aap chahe to khud se online vigyapan dundh sakte hai aur apni suvidha anusar karya ker sakte hai.

By Manish

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *