Site kaise banaye isakee jaanakaaree ke liye Google par website banane kai liyai bahut se pletaphorm hai, jinase aap apanee vebasait bana sakate hai, inamen kuchh paid platform (jinake lie paise dene padate hai), aur kuchh free platform (jinake lie koee paisa nahin dena hota) hai. paid website banaane ke liye aapako web hosting aur domain name khareedana padata hai, jisakee kuchh keemat aapako chukaanee pad sakatee hai. Isme aapako bahut saare pheechars (suvidhaen) mil jaate hai jo ek free website mein nahin milate hai. isliye site kaise banaye unake baare mein bataenge jo sabase jyaada lokapriy hai.
- Blogger (Blogspot)
- WordPress
Blog aur website ek hi cheej hoti hai, bas isme thoda sap hark hota hai jaise har blog ek website ke roop me kam kar sakta hai, kintu har website blog nahin ho sakti. To yah jante hai free site banana ke liye blog website kaise bnaye step by step.
Step 1 :
Aap blogger ki website www.blogger.com ko open kijiye, (Blogger Google ki hi ek free service hai) phir usme “sign in” per click kijiye, phir aap apne email ID aur password daliye (iske liye aapka Gmail Account hona jaruri hai).
Step 2 :
Sign in karne ke bad aapke samne ek page open hoga usme aap “create new blog” per click Karen. Click karne ke bad aapke samne ek popup window open hogi jisme Website ka Title Address aur theme dalna hoga.
- Title – yahan per sabse pahle aapko apne blog ya website ka name dalna hoga, apni website ka koi name rakh sakte hai.
- Address – yahan aapko apni website ka URL batana hai ki uska pata kya hona chahiye, aap Blogger per free website bana rahe hai to aapko isme aap ki website ke name me blogspot.com likha hua milega agar aap kisi dusri website se paiso se domain kharidkar blogger me set kar denge to aapki website ka name vahi ban jayega.
- Theme – uske bad aapko apni website ke liye theme select karni hai. Yahan per aapko kafi template di gai inme se koi bhi ek select kar sakte hai, jisase aapki website dikhne me achchi lage.
Step 3 :
Sub details dalne ke bad “Create Blog” per click kar de, to lijiye aapki free website banker taiyar hai, aap apni website browser me site address dalkar dekh sakte hai.
Google Jaisi Website Kaise Banaye
Yadi aap Google ki jaise website banana chahte hai to iske liye is prakar steps hai.
Domain name Register kare
Aapke domain name ko is tarah rakhna chaiye jo aapke utpadon ya sewaon ko pratibimb kare, taki aapke upyogkarta search engine ke madhyam se aapke vyavasay tak aasani se pahunch sake. Upyogkarta aapke domain name ko bhi aapke vyavasayik name ke saman hone ki ummid ker sakte hai. Domain name aap Godaddy ya Bigrock jaisi website se kharid sakte hai lekin iske liye aapko bhugtan karna hoga.
Web hosting company ka pata lagayen
Internet per apna domain name prapt karne ke liye aapko ek web hosting company dhundani hogi. Adhikansh internet sewa pradan karne vale web hosting ki sewayen pradan karte hai. Aap Godaddy website se bhi web hosting le sakte hai. Web hosting ke liye masic shulk is bat per nirbhar karta hai ki website kitni badi hai ya kitne upyogkarta aapki website per visit karte hai.
Apna content taiyar Karen
Is bare me sochen ki grahak aapki website ke madhyam se kis tarah ka content prapt karna chahta hai. Isase aapko yah pata lagane me madad milegi ki aapko apni website me kis tarah ki jankari shamil karna chahiye hai. Is bat per vishesh dhyan de ki aapke customers ki ruche kin cheejon me hai us hisab se apni site ka structure banaye taki unhe apni jarurat ki cheejon ko khojne me aasani ho.
Aap apni site ko design karne ke liye ek professional developer ko kam per rakh sakte hai. Vaise hi aap apni website ke content ko likhne aur edit karne ke liye ek professional writer aur editor ko kam per rakhne per bhi vichar ker sakte hai.
Apni website banayen
Aap kisi professional developer se apni website banva sakte hai. Aapko apni websiton ko up to date rakhne ki awashyakata hai. Yadi aap naye blogger hai, to kisi aur se website banwana aapke liye ek achcha vichar hai. Ek professional web developer aapki site ko jaldi se jaldi bana sakta hai aur safal web design ke liye aapko sujhav de sakta hai. Iske alava kisi professional developer ko hire karna aapke liye upyogi sabit ho sakta hai.
Conclusion:
Isi asan tariko se aap ghar baithe apni khud ki website bana sakte hai aur agar aapka koi vyapar hai to uska prachar bhi aap apni website ke madhyam se kar sakte hai aur apna vyapar bada sakte hai, aur agar aapka koi vyapar nahin hai to bhi aap free blog banaker paisa kama sakte ho aur internet ki duniya me popular ho sakte ho.