Chhatra ke 10vi kasha pas karne ke sath hi abhibhavakon ko jo sabse badi chinta hoti hai, vo hai ki aage padai ke liye sabse uchit Vishay kya hoga. Aaj ke samay me Vishay chhatra ke liye ruchikar hone ke sath sath career ke liye bhi upyukt hona chahiye. Yahan hum aap ko kuchh aise hi achchhe technical courses ke bare me batane ja rahe hai. Jo chhatra ke sukhad bhavishya ki rah khol sakte hai. Ye technical courses kai prakar ke hai. Aur chhatra 10vi class pass karne ke bad un achchhe technical courses ke bare me achchhe career ke taur per unke bare me soch sakte hai. Aur sahi me ye courses aaj ki technical duniyan me achchhe career ki guarantee bane huye hai.
Technical polytechnic courses
Best Technical courses me chhatra 10vi pass karne ke bad pravesh le sakte hai. In courses ke antargat pura hone vala 3 varshiya diploma 12vi class ke samkash mana jata hai. Iske sath hi aap engineering kshetra me pravesh pane ke patra ho jate hai.
Polytechnic courses me pravesh ke liye sarkari ya niji dono kshetron me college hote hain. Sarkari college me pravesh ke liye chayan ka aadhar 10vi me praptank ka kul pratishat per nirbhar hota hai. Jiske liye online aavedan partivarsh star ke liye mange jate hai. Vahi niji college me yah pravesh bina pratishat ank ke mil sakta hai. Jiske chayan ka aadhar kewal 10vi pass hona hi kafi hota hai. Sarkari college me in best technical courses ke liye shulk kam lagta hai. Vahi niji college apni apni guideline ke anusar fees vasulate hai. Yahan chhatra apni ruche ke anusar Vishay ka chayan ker sakte hai.
Mechanical Engineer, Automobile Engineer, Electrical & Electronic Engineering, Civil Engineering, Packaging Technology, Electronic v Communication Engineering, Information Technology, Applied Electronic v Instrument Computer Engineering, Mining Engineering, Metallurgical Engineering, Chemical Engineering, Textile Technology, Chemical Engineering in Plastics v Polymers , Petrochemical Engineering, Letter Technology, Printing Technology, Footwear Technology, Architecture Courses, Aircraft Maintenance Engineering, Mass Communication, Interior Designing, Hotel Management, Commercial v Fine Art, Office Management v Computer Applications aur Computer Applications aur Computer Science ityadi pramukh courses hote hai.
ITI Courses
ITI achchhe technical diploma courses Vishay ke aadhar per do varshiya aur ek varshiy dono prakar ke hote hai. ITI me bhi vahi pravesh pariksha hai, jo polytechnic courses ke liye hoti hai. Isme automobile ka diploma jaise ek varshiya hai, vahi electrician ka diploma do varshiya hota hai. Pure desh me iske pathyakarm is prakar hai.
Vanijayak kala, Diesel mechanic, bleaching and drawing printing, draftsman (civil), draftsman (mechanical), dressing, electrical, electrician, fitter, welder, phalon v sabjiyon ke prasanskaran, bal v twacha ki dekhbhal, hath aksharyojak, suchana prodhogiki v ESM, Sabun saman nirmata, patra press machine render, engineering, vinirman, mechanic Electronic, Mechanical Motor Carriage, Mechanic Radio & TV, Motor Drawing cum Mechanic, Pump Operator, Refrigerator Mechanic, Sheet Metal, Surveyor and Turner aadi jaise anek uchch technical courses hote hai.
ITI diploma 12 vi ke samkash manya nahi hota hai. Yah diploma takniq sahayak ke sambandhit trade anusar sabhi bharti ke liye aavedan hetu patra hai. Ye courses niymit chhatron ke liye hi hote hai. Jisme prayogic classes hoti hai. Iske liye technical vibhagon ke alawa karyalaya, sena aur railway me anek pad uplabdh hote hai.
To is tarah chhatra apne pasand ka uchch tacniqui Vishay chun kar apna career is kshetra me apna bhavishya surkshit kar sakte hai.
Stenographer :
Maitric pariksha ke bad typing aur shorthand seekh lete hain to inter ke bad stenographer ki naukri aapka intjar kar rahi hai. Stenographer ke liye shorthand ki jankari anivarya hai. Shorthand course ke jankar niji aur sarkari dono hi tarah ke sansthano me hai. Ardhsainik bal me sub inspector ke pad per niyukati hoti hai. Iska ek sal ka certificate course ITI me hota hai. Teen varshon ka diploma pathyakarma polytechnic sansthanon se hoti hai.
Computer:
Aaj computer ke maulik gyan ke career ko udan dena sambhav nahin hai. Pramparagat course ke sath sath computer ke certificate course bhi kar sakte hain. Isme behtar career banana ke liye diploma aur degree ke sath-sath visheshgyata prapt kar lene per khud ko niyokta bana sakte hain. 10 vi ke bad course on computer concept kiya ja sakta hai. Yah kul 80 ghante ka course hai. Isme vyaktigat v vyavharik patra taiyar karna, mail bhejna, data base taiyar karna, presentation taiyar karna aadi shamil hai.
Vyaavasaayik Course :
10 vi pass vidhyarthiyon ko jald rojgar uplabadh karane ke uddeshya se kai vyaavasaayik course sanchalit regular aur open madhyam se karaye jate hain. 6 mahine ke computer hardware, networking, corportar, plumber, AC Fitting, Radio, Television, Mobile, Freeze, Kular Repairing, Beautician, Helper, Technician, Hair Designer, Tailoring aadi me certificate course kar jald rojgar prapt kar sakte hain.